MithilaLive
Entertainment 
MithilaLive> Entertainments > Articles
Latest  SMS  1of 10 >>
SHADI SHUDA KI DASTAAN   By Pankaj Kumar Mishra   pankajk_786@rediffmail.com
> abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
> khushi ke maare mera bura haal tha,
> khushiyaan kuch yoon umad rahin thi,
> ki sambhale nahi sambhal rahi thi,
>
> subah subah madam ka chai le kar aana
> thoda sharmate hue hume need se jagana,
> wo pyaar bhara hath humare ballon main phirana,
> muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
> jaldi se ready ho jao, aap ko office bhi hai jana.
>
> gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
> dil or dimag par poori tarah chai thi,
> saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
> ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.
>
> 5 saal baad........
>
> subah subah madam ka chai le kar aana,
> table par rakh kar jor se chilana,
> aaj office jao to munna ko
> school chodte hue jana..............
>
> ek baar phir wohi awaaj ayi,
> kya baat hai abhi tak chodi nahi charpai,
> agar munna late ho gaya to dekh lena,
> munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.
>
> na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
> dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
> sans bhi lete hai to uni ka khayal hota hai,
> har samay jehan main ek hi sawal hota hai,
> kya kabhi wo din lot ke ayenge,
> hum ek bar phir kunwaar ban payenge....
> ................SO FRIENDS THINK TWICE BEFORE
> COMMIT >>>>>>>>>>>>>>>>
 
 
Home Page © Adarsh Internet Pvt. Ltd. 2007